dil hai raushan ki hai dil men ruḳh-e-raushan un ka
zer-e-fanus-e-badan sham.a hai joban un ka
diid un ki hai visal un ka tasavvur un ka
jaan un ki hai jigar un ka hai tan-man un ka
hain vo kashana-e-dil men kabhi ankhon men kabhi
ḳhana tan hai mira ghar bhi aur angan un ka
hai tasavvur jo unhin ka to vo hain pesh-e-nigah
ho ḳhayal un ke siva gar to hai rahzan un ka
hain tumhin men vo tum apne ko to dekho ho kaun
jin ko kahte ho ki hai arsh pe maskan un ka
jaan un ki hai har ik jaan kahan par vo nahin
donon aalam men yahi ramz hai muzman un ka
baiThe baiThe vo kiya karte hain har gul pe nazar
dil-e-ashiq hai magar sair ka gulshan un ka
vo hamare hain ham un ke hain unhin ka ye zuhur
jaan un ki hai yahi jaan bhi tan-man un ka
aa ke ghar men mire ‘mardan’ na vo jaane paa.en
ta-qayamat na chhuTe haath se daman un ka
Leave a Reply