dil hai palkon men simaT aata hai aansu ki tarah
reshmi raat ki bhigi hui ḳhushbu ki tarah
zindagi aaj hai yadon ke ta.aqub men ravan
ret ke Tilon pe gard-e-ram-e-ahu ki tarah
aan ki aan men tariḳh badal jaati hai
shikan-e-zulf ki surat ḳham-e-abru ki tarah
taulne ke liye phulon ki tarazu bhi to ho
fikr o ehsas bhi tul jaate hain ḳhushbu ki tarah
shahr-e-afsos men apne hain na begane hain
ab dil o jaan ke bhi rishte hain man-o-tu ki tarah
bijliyan hain ki chamakti hain rag-e-jan ke qarib
jam-e-sahba ki tarah halqa-e-gesu ki tarah
teri yadon ki kahani to nahin hai ‘tanvir’
dil pe dastak jo diya karta hai ḳhushbu ki tarah
Leave a Reply