dil-ba-dil a.ina hai dair o haram
haq jo puchho ek dar hai do taraf
ḳhvah ka.aba ḳhvah but-ḳhana ko ja
dasht-e-dil ka rahguzar hai do taraf
kufr o iman donon janib ki sune
is liye gosh-e-bashar hai do taraf
raḳhna-andazon ki kab chhupti hai aankh
chashm-e-rauzan ki nazar hai do taraf
baagh ho ya dasht ho qismat ‘nasim’
coach ki apne ḳhabar hai do taraf
Leave a Reply