dhuup the sab raste darkar tha saaya hamen
ik sarab-e-ḳhush-numa ne aur tarsaya hamen
dil zamin par us ka chehra naqsh ho kar rah gaya
barha phir aa.ine ne ḳhud hi Thukraya hamen
dhuup sahra dhuul dariya ḳhaar raston ki chubhan
manzilon ke shauq ne kya kya na dikhlaya hamen
mustarad karta gaya hai dilruba chehron ko dil
ba.ad us ke koi chehra kab bhala bhaya hamen
ham kahin ma.atub the majzub the mahbub the
jis ki jaisi thi nazar us ne vahi paaya hamen
dard-o-rahat vasl-o-furqat ishq ke hain rang-o-rup
jaate jaate us ne ‘zakir’ ḳhuub samjhaya hamen
Leave a Reply