dayar-e-dil ki raat men charagh sa jala gaya
mila nahin to kya hua vo shakl to dikha gaya
vo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
vo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
judaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi niind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
pukarti hain fursaten kahan gaiin vo sohbaten
zamin nigal gai unhen ki asman kha gaya
ye subh ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aaine men dekhta huun main kahan chala gaya
ye kis khushi ki ret par ghamon ko niind aa gai
vo lahr kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gae dinon ki laash par pade rahoge kab talak
alam-kasho utho ki aftab sar pe aa gaya
Leave a Reply