dast-baston ko ishara bhi to ho sakta hai
ab vahi shakhs hamara bhi to ho sakta hai
main ye aise hi nahin chhan raha huun ab tak
khaak men koi sitara bhi to ho sakta hai
ain mumkin hai ki binai mujhe dhoka de
ye jo shabnam hai sharara bhi to ho sakta hai
is mohabbat men har ik shai bhi to lut sakti hai
is mohabbat men khasara bhi to ho sakta hai
gar hai sanson ka tasalsul miri qismat men ‘khayal’
phir ye girdab kinara bhi to ho sakta hai
Leave a Reply