dasht-e-baran ki hava se phir hara sa ho gaya
main faqat khushbu se us ki taza-dam sa ho gaya
us ke hone se hua paida khayal-e-jan-faza
jaise ik murda zamin men baagh paida ho gaya
phir hava-e-ishq se ashuftagi khuban men hai
in dinon men husn bhi azar jaisa ho gaya
hai kahin mahsur shayad vo haqiqat ahd ki
jis ka rasta dekhte itna zamana ho gaya
gham raha hai haal kahna dil ka us but se ‘munir’
jis ke gham men apne dil ka haal aisa ho gaya
Leave a Reply