• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / daro Us Waqt Se

daro Us Waqt Se

zehra-nigaah

har taraf daur-e-faramoshi hai

zehn sahma hua baitha hai kahin

apne atraf hifazat ki tanaben gaade

jab koi baat nahin yaad us ko

phir ye dahshat ka sabab kya maani

aur hifazat ka junun kaisa hai

daro us vaqt se jab aisa khauf

jis ke asbab nahin milte hain

zindagani men chala aata hai

ruh-e-vijdan bhatak jaati hai

tarz-e-afkar badal jaati hai

sahra aa jaate hain divaron men

asmanon ke varaq khulte hain

jauq-dar-jauq pare ruhon ke

chalte-phirte nazar aa jaate hain

aur zamin kanch ke tukdon ki tarah tutti hai

vahm tasvir men dhal jaata hai

kam-nigahi ka tasallut chup-chap

dur-andeshi ko kha jaata hai

daro us vaqt se jab aisa khauf

zindagani men chala aata hai

jis ke asbab nahin milte hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Maujudgi Ka Uski Yahan Etiraf Kar

poet

Kis Ko Sunaun Haal-E-Gham Koi Gham-Ashna Nahin

poet

Talash-E-Qabr Mein Yun Ghar Se Hum Nikal Ke Chale

Dard Mein Lazzat Bahut Ashkon Mein Ranai Bahut

majrooh-sultanpuri

Su-E-Maqtal Ki Pae Sair-E-Chaman Jate Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet