dariya ki tishnagi men insan ki bebasi men
paaya tujhe hai yarab dil ki shikastagi men
teri kami sata.e har gham men har ḳhushi men
rahta hai aaj bhi tu is aankh ki nami men
shayad kabhi paḌe hon un par bhi paanv tere
chuma hai pattharon ko ham ne tiri gali men
ankhen vo tere jaisi tujh sa hasin chehra
ham DhunDte rahe hain tujh ko hi har kisi men
mujh par khula nahin hai ye raz-e-hast mera
kahne ko ḳhaak chhani hai dasht-e-agahi men
roiin bujha ke mujh ko phir gham-zada hava.en
main sham.a-e-aḳhiri thi is shab ki tirgi men
ukta ga.i huun shayad patthar ki muraton se
lagta nahin hai ab ye dil bhi sanam-gari men
qaid-e-hayat par dil divana-var nache
masrur hai ki aaya teri supurdagi men
kafir jo kah rahe the sab jante the ‘jina’
peshani naqsh-e-pa pe rakkhi thi be-ḳhudi men
Leave a Reply