Dard Jab Se Dil-Nashin Hai Ishq Hai

dard jab se dil-nashīñ hai ishq hai

is makāñ meñ kuchh nahīñ hai ishq hai

dekh dasht-e-yād kā e.ajāz dekh

maiñ kahīñ huuñ tū kahīñ hai ishq hai

thak ke baiThā huuñ jo kunj-e-zāt meñ

mehrbāñ koī nahīñ hai ishq hai

jo azal se hijratī haiñ ashk haiñ

jo in ashkoñ meñ makīñ hai ishq hai

ai sarāb-e-jabr-o-istibdād sun

ye jo pyāsoñ kā yaqīñ hai ishq hai

kal jahāñ dīvār hī dīvār thī

ab vahāñ dar hai jabīñ hai ishq hai

ḳhvāb hī meñ dekh le tābīr-e-ḳhvāb

kaun aisā pesh-bīñ hai ishq hai

jīte-jī dushvār kitnā thā safar

ab na duniyā hai na diiñ hai ishq hai

ranj-o-ġham kī surma.ī chādar ‘taqī’

jab se bālā-e-zamīñ hai ishq hai

Leave a Comment