dard ho to dava kare koi
maut hi ho to kya kare koi
na satae koi unhen shab-e-vasl
un ki baten suna kare koi
band hota hai ab dar-e-tauba
dar-e-mai-khana va kare koi
qabr men aa ke niind aai hai
na uthae khuda kare koi
thiin ye duniya ki baten duniya tak
hashr men kya gila kare koi
na uthi jab jhuki jabin-e-niyaz
kis tarah iltija kare koi
bosa len ghair den saza ham ko
ham hain mujrim khata kare koi
bigde gesu to bole jhunjhla kar
na balaen liya kare koi
nazaa men kya sitam ka mauqa hai
vaqt hai ab dua kare koi
hashr ke din ki raat ho ki na ho
apna vaada vafa kare koi
na satae koi kisi ko ‘riyaz’
na sitam ka gila kare koi
Leave a Reply