Dard Hi Dard Thi Minnat-Kash-E-Darman to Na Thi

dard hī dard thī minnat-kash-e-darmāñ to na thī

zindagī ḳhvāb to thī ḳhvāb-e-pareshāñ to na thī

jab havā le ke chalī thī tire kūche kī taraf

mirī jānib nigarāñ gardish-e-daurāñ to na thī

zindagī shahr-e-ġhazālāñ meñ bagūloñ kī tarah

mujh se pahle mirī āvāz pe raqsāñ to na thī

har-nafas saath rahī hai mire saa.e kī tarah

aap kī yaad mirī umr-e-gurezāñ to na thī

dil dhaḌaktā hai to hālāt badal jaate haiñ

raat tak koī kalī chāk-garebāñ to na thī

tū ne duzdīda-nigāhoñ se jise dekhā thā

terī tasvīr thī tasvīr-e-gulistāñ to na thī

ḳhvāb sharminda-e-ta.abīr ka.ī the ‘nashtar’

zindagī arsa-gah-e-ḳhvāb-e-ġhazālāñ to na thī

Leave a Comment