dam-e-marg balin par aaya to hota
mire munh men paani chuvaya to hota
ye sach hai vafadar koi nahin hai
kisi din mujhe azmaya to hota
tasalli na deta tashaffi na karta
mire rone par muskuraya to hota
mujhe apni furqat se maara to maara
dam-e-naza mukhda dikhaya to hota
ghalat hai ki murda nahin zinda hota
tu mere janaze par aaya to hota
vahin chaunk uthta main khvab-e-lahad se
mira shana tu ne hilaya to hota
hua iid ke din main qurban tujh par
bula kar gale se lagaya to hota
mire qatl par tum ne biida uthaya
mire haath ka paan khaya to hota
vo sunta na sunta havas to na rahti
mira haal hamdam sunaya to hota
misi par bhi daghon ka samra na paaya
charagh ik lahad par jalaya to hota
gila hai mujhe tum se murghan-e-gulshan
kabhi dard mera bataya to hota
kabhi mere janib se parvaz karte
koi hal-pursi ko aaya to hota
nahin ye bhi shikva na aae na aae
gulon ko mira gham sunaya to hota
dar-o-bam ka ‘bahr’ khvahan nahin main
mire ashiyane men saaya to hota
Leave a Reply