dabi avaz men karti thi kal shikve zamin mujh se
ki zulm o jaur ka ye bojh uTh sakta nahin mujh se
agar ye kashmakash baaqi rahi jahl o tamaddun ki
zamana chhin lega daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se
tumhin se kya chhupana hai tumhari hi to baten hain
jo kahti hai tamanna ki nigah-e-vapsin mujh se
nigahen chaar hote hi bhala kya hashr uTh jaata
yaqinan is se pahle bhi mile hain vo kahin mujh se
dikha di main ne vo manzil jo in donon ke aage hai
pareshan hain ki aḳhir ab kahen kya kufr o diin mujh se
ye maana zarra-e-avara-e-dasht-e-vafa huun main
nibhana hi paḌega tujh ko duniya-e-hasin mujh se
sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hota hai
ki lakhon laghzishen har gaam par hoti rahin mujh se
udhar saari tamannaon ka markaz astan un ka
idhar barham tamanna par miri sarkash jabin mujh se
Leave a Reply