• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chhupe Hue the Jo Naqd-E-Shuur Ke Dar Se

Chhupe Hue the Jo Naqd-E-Shuur Ke Dar Se

chhupe hue the jo naqd-e-shu.ur ke Dar se

nikal sake na vo jazbat mere andar se

kabhi bhi shahr-e-tilismat-e-dil ki sair na ki

har ek jalva liya musta.ar bahar se

rahe ham apni hi gahra.iyon se na-vaqif

utar saki na kabhi kaa.i sat.h-e-dil par se

sukun ki jannaten dozaḳh nahin aziyyat ka

ajiib haal hua agahi ke mahshar se

hamari bachchon si ma.asumiyat hui zaḳhmi

lahuluhan hua dil ḳhirad ke patthar se

nazar se dekh lo ham ret ke gharondon ko

hamen na chhuo ki ham khokhle hain andar se

hamari koshish-e-be-sud us ko kya paati

husul jis ka tha mumkin faqat muqaddar se

‘riyaz’ shaam Dhali ab to ghar ko lauT chalo

tulu-e-sub.h se pahle ke nikle ho ghar se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hairat Se Takta Hai Sahra Barish Ke Nazrane Ko

Kucha-E-Yar Mein Gadai Ki

faiz-ahmad-faiz

Kuchh Mohtasibon Ki Khalwat Mein Kuchh Waiz Ke Ghar Jati Hai

abrar-ahmad

Mitti Thi Kis Jagah Ki

Muskurao Bahaar Ke Din Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet