• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chhati Jala Kare Hai Soz-E-darun Bala Hai

Chhati Jala Kare Hai Soz-E-darun Bala Hai

meer-taqi-meer

chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai

ik aag si rahe hai kya janiye ki kya hai

main aur tu hain donon majbur-e-taur apne

pesha tira jafa hai sheva mira vafa hai

ru-e-sukhan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab

sab muttafiq hain is par har ek ka khuda hai

kuchh be-sabab nahin hai khatir miri pareshan

dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai

husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton men

is martabe se aage koi chale to kya hai

shadi se gham-e-jahan men vo chand ham ne paaya

hai iid ek din to das roz yaan daha hai

hai khasam-jan-e-ashiq vo mahv-e-naz lekin

har lamha be-adai ye bhi to ik ada hai

ho jaae yaas jis men so ashiqi hai varna

har ranj ko shifa hai har dard ko dava hai

nayab us guhar ki kya hai talash asan

ji dubta hai us ka jo tah se ashna hai

mushfiq malaz o qibla kaaba khuda payambar

jis khat men shauq se main kya kya use likha hai

tasir-e-ishq dekho vo naama vaan pahunch kar

juun kaghaz-e-havai har su uda phira hai

hai garche tifl-e-maktab vo shokh abhi to lekin

jis se mila hai us ka ustad ho mila hai

phirte ho ‘mir’ sahab sab se jude jude tum

shayad kahin tumhara dil in dinon laga hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ghamgin Be-Maza Badi Tanha Udas Hai

Mohabbaton Ka Chaman Paemal Humne Kiya

Koi Us Sitamgar Ko Aagah Kar De Ki Baz Aae Aazar Dene Se jhaT-paT

Bedam Shah Warsi

Kuchh Lagi dil Ki Bujha Lun To Chale Jaiyega

poet

Soz-E-Gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum to Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet