chehre pe na ye naqab dekha
parde men tha aftab dekha
kyuun kar na bikun main haath us ke
yusuf ki tarah main khvab dekha
kuchh main hi nahin huun, ek aalam
us ke liye yaan kharab dekha
dil tu ne abas likha tha naama
jo un ne diya javab dekha
be-jurm o gunah qatl-e-ashiq
mazhab men tire savab dekha
kuchh hove to ho adam men rahat
hasti men to ham azaab dekha
jis chashm ne mujh taraf nazar ki
us chashm ko main pur-ab dekha
hairan vo tere ishq men hai
yaan ham ne jo shaikh o shaab dekha
bhula hai vo dil se lutf us ka
‘sauda’ ne ye jab itaab dekha
Leave a Reply