chashm ko saunpi ga.i ḳhidmat-e-ḳhvab
dil pe taari hai ajab halat-e-ḳhvab
ḳhvab ab ke na haqiqat ho jaa.e
ab ke aisi hai miri shiddat-e-ḳhvab
main ne paḌh li hain tiri bhi ankhen
sirf mujh par na laga tohmat-e-ḳhvab
tujh ko muzhda ho miri aankh ki ab
mujh men baaqi na rahi himmat-e-ḳhvab
ḳhvab maḳhfi hi rahe sab se yahan
kaun karta hai bhala izzat-e-ḳhvab
meri ankhon men guhar hain kitne
mujh ko hasil hai bahut daulat-e-ḳhvab
tum ki jalvat se gurezan ho bahut
ab to aa jaao ki hai ḳhalvat-e-ḳhvab
us ke pahre hain miri ankhon par
us ko ma.alum hai kya quvvat-e-ḳhvab
kitna be-ḳhvab kiya hai tu ne
chhoḌ pichha mira ai afat-e-ḳhvab
bas kaleja hi chaba jaati hai
kitni ḳhunḳhar hai ye vahshat-e-ḳhvab
ka.enat aur hayat ai ‘ḳhalid’
ḳhvab men jaise koi sa.at-e-ḳhvab
Leave a Reply