chashm-e-va hi na hui jalva-numa kya hota
aur hota bhi to dekhe ke siva kya hota
ret ke baagh men kya bad-e-bahari ki talab
koi sabza hi nahin tha to hara kya hota
itni saada bhi nahin aag aur angur ki ramz
ajr deta na saza to bhi ḳhuda kya hota
meri ḳhvahish ke ilaqe se pare kuchh bhi na tha
aur ḳhvahish ke ilaqe men naya kya hota
jism par sard havaon ki fusun-kari thi
dhuup ta.aviz na karti to mira kya hota
azhdahe banne lage peḌ parindon ke liye
shahr-e-pur-ḳhauf men ab is se bura kya hota
dekhne men bhi gaya tha vo tamasha lekin
koi baaqi na raha raqs fana kya hota
Leave a Reply