• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashm-E-Mast-E-Saqi Se Dil Hua KHarab-Abaad

Chashm-E-Mast-E-Saqi Se Dil Hua KHarab-Abaad

chashm-e-mast-e-saqi se dil hua ḳharab-abad

mai-kada hai aur masti ab to harche bada-bad

mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbad

husn ne kiya be-ḳhud ishq ne kiya azad

mera TuTa-phuTa dil ban gaya vatan us ka

be-vatan tha avara ishq-e-ḳhanuma-barbad

masti-e-ana laila kar-e-ishq-e-majnun hai

kaif-e-vasl-e-shirin hai naqsh-e-tesha-e-farhad

jism-o-jan ka ilhaq vaj.h-e-ranj-o-rahat hai

band-e-shadi-o-gham se jan-e-pak hai azad

shauq aur tanaffur men raaz us ka pinhan hai

hai koi agar dil-gir hai agar koi dil-shad

ghaflat aur nadani vaj.h-e-shauq-o-nafrat hai

hai jo ain-e-irfan men be-sabat-o-be-buniyad

band-e-ranj-o-rahat se fikr-e-shauq-o-nafrat se

qaid-e-jehl-o-ghaflat se ḳhud-shanas hai azad

jalva us ka ai ‘sahir’ chashm-e-pak-bin se dekh

husn-e-la-yazli se shash-jahat hain abad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashar-nawaz

Qarz

poet

Kijiye Rindi Ka Pesha Shisha Shisha Hai Sharab

KHak Hoti Hui Hasti Se uTha

Junun Ki Fasl Aai baDh Gai Tauqir Patthar Ki

KHush Hun Ya Dost Se KHafa Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet