charagh bujh bhi chuka raushni nahin jaati
vo saath saath hai aur bekali nahin jaati
shabab-e-rafta phir aata nahin javani par
ye vo makan hai ki jis ko gali nahin jaati
ajiib dar-badari men guzar rahi hai hayat
ki apne ghar men bhi ab be-ghari nahin jaati
chaman ko charon taraf gher kar nahin rakhna
saba gulon ki taraf kab chhupi nahin jaati
chalo usi se karen baat charagar to hai
vo jis se baat kisi ki suni nahin jaati
mata-e-dard numu ke safar men hai shamil
kali bahar men vaise jali nahin jaati
fishar-e-vaqt men nok-e-qalam hui larzan
lahu ke shor men dil ki kahi nahin jaati
tamam shahr raunat ki gard men malfuf
aur ek ham hain ki varaftagi nahin jaati
Leave a Reply