chandni ka raqs dariya par nahin dekha gaya
aap yaad aae to ye manzar nahin dekha gaya
aap ke jaate hi ham ko lag gai avargi
aap ke jaate hi ham se ghar nahin dekha gaya
apni saari kaj-kulahi dastan ho kar rahi
ishq jab maz.hab kiya to sar nahin dekha gaya
phuul ko mitti men milta dekh kar mitti hue
ham se koi phuul mitti par nahin dekha gaya
jism ke andar safar men ruuh tak pahunche magar
ruuh ke bahar rahe andar nahin dekha gaya
jis gada ne aap ke dar par sada di ek baar
us gada ko phir kisi dar par nahin dekha gaya
aap ko patthar lage ‘javed’ ji dekha hai ye
aap ke hathon men go patthar nahin dekha gaya
Leave a Reply