chand suraj mire ghar aate hain
kya hasin ḳhvab nazar aate hain
mujh se kahte hain Thahar dam le le
raah men jitne shajar aate hain
dekhna mere taḳhayyul ka kamal
nahin aate vo magar aate hain
barq hansti hai nasheman pe mire
abr ba-dida-e-tar aate hain
dekh kar apne shikasta dil ko
yaad mahlon ke khanDar aate hain
hai bura haal unhen kya malum
vo bhala kab mire ghar aate hain
sach hai pathrav tabhi hota hai
jab daraḳhton pe samar aate hain
phone uTha.egi na ‘parvin’ us vaqt
bachche schōl se ghar aate hain
Leave a Reply