chand Duuba to ye saza paa.i
baat karne lagi hai tanha.i
kar-zar-e-hayat men aksar
ham ko apnon ne di hai rusva.i
phir mile bhi to ajnabi ki tarah
kaam aa.i nahin shanasa.i
hai kahan kisht-e-kufr dasht-e-ḳhayal
duur tak main huun aur tanha.i
ek mehvar pe aa nahin sakte
vo dar-e-shauq aur jabin-sa.i
ḳhaar se gul juda nahin hote
baat ham ne unhen ye samjha.i
zinat-e-dar ham bane lekin
aap laa.e hain ye qaza laa.i
yuun bhi hota hai barha ‘manzar’
niind aa.i magar nahin aa.i
Leave a Reply