• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chaman-E-Lala Ye Ulfat Teri dikhlati Hai

Chaman-E-Lala Ye Ulfat Teri dikhlati Hai

poet

chaman-e-lala ye ulfat tiri dikhlati hai

sainkadon daagh hain aur ek miri chhati hai

garche tuuti bhi hai shirin-sukhani men mumtaz

par tiri baat ki lazzat ko kahan paati hai

badli aa jaati hai is lutf se khurshid pe kam

zulf munh par tire jis aan se khul jaati hai

gul hi tanha na khajil hai rukh-e-rangin se tire

nargis ankhon ke tire samne sharmati hai

main kahan aur tira vasl ye hai bas ai gul

gaah be-gah tiri bu to saba laati hai

raat thodi si hai bas jaane de mil hans kar bol

na-khushi ta-ba-kuja subh hui jaati hai

raushni khana-e-ashiq ki hai tujh se varna

tu na ho to shab-e-mahtab kise bhati hai

sadgi dekh to dil us se kare hai yaari

nagani dekh ke jis zulf ko bal khati hai

mah-rukhan kya hain ki ho aa ke muqabil ‘bedar’

kanpti samne jis shokh ke barq aati hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tab Kho baiTha Har Ek Jauhar-E-KHaki Mera

Zindagi Ehsan Hi Se Mawara Thi Main Na Tha

Sulagti Aag Thi Na Jalte Aashiyane The

poet

Did-E-Gulzar-E-Jahan Kyun Na Karen Sair to Hai

riyaz-khairabadi

Bahut Hi Parde Mein Izhaar-E-Arzu Karte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet