chalte hue mujh men kahin thahra hua tu hai
rasta nahin manzil nahin achchha hua tu hai
taabir tak aate hi tujhe chhuna padega
lagta hai ki har khvab men dekha hua tu hai
mujh jism ki mitti pe tire naqsh-e-kaf-e-pa
aur main bhi bada khush ki are kya hua tu hai
main yuun hi nahin apni hifazat men laga huun
mujh men kahin lagta hai ki rakkha hua tu hai
vo nuur ho aansu ho ki khvabon ki dhanak ho
jo kuchh bhi in ankhon men ikattha hua tu hai
is ghar men na ho kar bhi faqat tu hi rahega
divar-o-dar-e-jan men samaya hua tu hai
Leave a Reply