chalega nahin mujh pe fuqara tumhara
hata lo ki khanjar hai jhuta tumhara
manaen to ab jaan de kar manaen
qayamat hai ye ruuth jaana tumhara
bade sidhe saade bade bhule bhale
koi dekhe is vaqt chehra tumhara
bacha hai jo saghar men kyuun phenkte ho
hamen de do ham pi len jhuta tumhara
ye kya hai sabab aaj chup chup ho pyare
batao to kyuun ji hai kaisa tumhara
uthane pade khaak se dal ke tukde
bada pyaar tha pyaar dekha tumhara
khuda ke liye haan nahin kuchh to kah do
ki munh tak rahi hai tamanna tumhara
ilaaj us ke bimar ka tum karoge
kahin dil chala hai masiha tumhara
chala ‘shaer’ zaar taslim lijiye
bhala ho bhala mere daata tumhara
Leave a Reply