chahat men asman ki zamin ka nahin raha
kya bad-nasib tha vo kahin ka nahin raha
duniya ke inhimak men diin ka nahin raha
ghar us ka jis jagah tha vahin ka nahin raha
ye aur baat hai ki hamen e’tibar ho
varna zamana aaj yaqin ka nahin raha
haan kah ke apni jaan bachane lage hain log
ya.ani ki ab zamana nahin ka nahin raha
peshaniyon pe naqsh to sajde ka ban gaya
lekin kahin nishan jabin ka nahin raha
‘javed’ apne fikr-o-nazar asman se la
pyare zamana ḳhak-nashin ka nahin raha
Leave a Reply