chaak par miTTi ko mar jaana hai
ḳhvab-e-ta.amir bikhar jaana hai
ham ko us dasht men jaana hoga
vahshaton ka yahi harjana hai
sahibo ham hain usi saf ke log
jin se sahra ko sanvar jaana hai
samne hashr ki had hai sahab
ab hamen lauT ke ghar jaana hai
qabr-gah hain sadaon ki yahan
bas yahin ham ko bhi mar jaana hai
tum ko khone ka tumhen paane ka
ham ne har qism ka Dar jaana hai
koi bhi raah nahin hai us tak
ham ko ma.alum hai par jaana hai
lo nazar aane laga us ka hashr
qafile vaalo Thahar jaana hai
kis liye tairna ashkon men sada
ab tah-e-dida-e-tar jaana hai
vo ‘dinesh’ us ki gali hai aage
dekh lo tum ko kidhar jaana hai
Leave a Reply