• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire

Buton Ke Ghar Ki Taraf Kabe Ke Safar Se Phire

poet

buton ke ghar ki taraf kaabe ke safar se phire

hazar shukr ki jiite khuda ke ghar se phire

mariz-e-hijr ka koi ilaaj kar dekhe

asar dava se dava hukm-e-chara-gar se phire

mahine bhar ka to rasta hai par dua ye hai

ki peshtar vo qamar daura-e-qamar se phire

nigah-e-lutf se dekho shabab aa jaae

shab-e-guzishta abhi gardish-e-nazar se phire

vo rashk-e-mahr jo saaqi ho umr baaqi ho

ziyada saghar-e-mai charkh-e-fitna-gar se phire

nigah pherne men lutf kya hai rahne do

ye tiir kis liye ulta mire jigar se phire

kahenge baad-e-fana ham se dostan-e-adam

bhare-pure ki tahi-dast is safar se phire

na mangen bosa-e-rukhsar chhatiyan na chhuen

tabiat apni jo ai but gul-o-samar se phire

falak ne kucha-e-maqsad ki band ki rahen

bhala batao ki qismat miri kidhar se phire

dikhae mauj-zani bahr-e-ashk agar apna

har asiya-e-falak-ab chashm-e-tar se phire

‘munir’ ko hai vo dauran-e-sar maaz-allah

ki sunne valon ka sar zikr-e-dard-e-sar se phire

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jamal-E-Yar Ko Dekhun Kamal-E-Yar Se Pahle

ahmad-rahi

Kabhi Teri Kabhi Apni Hayat Ka Gham Hai

Mere honTon Ko Chhua Chahti Hai

Tujh Pe Hum Ek Kitab Likh baiThe

Kisi Ne Chehre Pe Bikhra Liya Tha Zulfon Ko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet