But-Parasti Ne Kiya Aashiq-E-Yazdan Mujhko

but-parastī ne kiyā āshiq-e-yazdāñ mujh ko

parda-e-kufr meñ hāsil huā īmāñ mujh ko

ab dar-e-andāzī-e-aġhyār nahīñ chal saktī

ḳhuub pahchānte haiñ yaar ke darbāñ mujh ko

ḳhāl-e-ruḳh ḳhizr-e-rah-e-kufr na hotā jo tirā

daam meñ lā hī chuke the ye musalmāñ mujh ko

jis meñ kuchh hotī hai ummīd-e-visāl-e-ma.asūq

itnī khaltī nahīñ vo gardish-e-daurāñ mujh ko

ye na ma.alūm thā is rañg se aa.egī bahār

tauba-e-mai ne kiyā saḳht pashemāñ mujh ko

ishq ne mansab-e-ushshāq jo taqsīm kiye

baaġh bulbul ko diyā kūcha-e-jānāñ mujh ko

dil-jalā maiñ huuñ vo āshiq ki shab-e-hijr ‘qalaq’

sham.a bhī rone lage dekh ke giryāñ mujh ko

Leave a Comment