bulandi se kabhi vo ashnai kar nahin sakta
jo tere astane ki gadai kar nahin sakta
zaban rakhte hue bhi lab-kushai kar nahin sakta
koi qatra samundar se ladai kar nahin sakta
tu jugnu hai faqat raton ke daman men basera kar
main suraj huun tu mujh se ashnai kar nahin sakta
khudi ki daulat-e-uzma khuda ne mujh ko bakhshi hai
qalandar huun main shahon ki gadai kar nahin sakta
sifat firaun ki tujh men hai main muusa ka haami huun
kabhi taslim main teri khudai kar nahin sakta
jo zindan men aziyyat par aziyyat mujh ko deta hai
main us zalim se ummid-e-rihai kar nahin sakta
jo kamtar hai badai apni apne munh se karta hai
magar ‘afzal’ kabhi apni badai kar nahin sakta
Leave a Reply