bujhti hui ankhon ka akela vo diya tha
hijran ki kadi shab men aziyyat se lada tha
rukta hi nahin tujh pe nigahon ka tasalsul
kal shaam tire haath men kangan bhi naya tha
ik chashm-e-tavajjoh se udhadta hi gaya tha
vo zakhm ki jis ko badi mehnat se siya tha
bargad ke isi ped pe utrenge parinde
sailab-zada ghar ke jo angan men khada tha
darvesh ki kutiya ke ye lashe pe bani hai
viran shikasta si haveli pe likha tha
tasvir men us ko hi sar-e-bam dikhaya
mazdur zamane ke jo paanv men pada tha
vo zakhm judai ka bhala kaise dikhega
malba jo mire jism ka andar ko gira tha
‘babar’ ho ki bahka hua jhonka ya sitara
teri hi gali men hamen jaata vo mila tha
Leave a Reply