mujhe sameto
main reza reza bikhar raha huun
na jaane main badh raha huun
ya apne hi ghubar-e-safar men har pal utar raha huun
na jaane main ji raha huun
ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon men har lahza mar raha huun
main ek patthar sahi magar har saval ka baz-gasht ban kar javab dunga
mujhe pukaro mujhe sada do
main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso
mujhe mahakne ka valvala do
main ik samundar sahi magar aftab ki tarah mujh pe chamko
mujhe bulandi ki samt udne ka hausla do
mujhe na todo ki main gul-e-tar sahi
magar os ke bajae lahu men tar huun
mujhe na maaro
main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar huun
mujhe bachao ki main zamin huun
karodon karodon ki kaenat-e-basit men sirf main hi huun
jo khuda ka ghar huun
Leave a Reply