bhigo ga.ī gul-e-ehsās aaj shabnam phir
badan ke gird lipaTne lagā hai resham phir
ye kis ḳhayāl ke kundan se saj gayā tan-man
bhare haiñ kāsa-e-hastī meñ kis ne nīlam phir
bahār būñdeñ ghaTā ḳhush-gavār purvā.ī
mire siñgār ke kyā aa ga.e haiñ mausam phir
batā rahī haiñ ye sargoshiyāñ samundar keī
ki ḳhushk ret se dariyā kā hogā sañgam phir
ka.ī charāġh jo ye jal uThe haiñ āñkhoñ meñ
suno judā.ī unheñ kar na paa.e maddham phir
tirī judā.ī ke sadme se yuuñ hue mohtāt
na is ke ba.ad huī phir ye aañkh pur-nam phir
‘alīnā’ ik dafa ik aag meñ tapā thā badan
tamām umr huī vo na aañch kam kam phir