be-tamanna huun khasta-jan huun main
ek ujda hua makan huun main
jang to ho rahi hai sarhad par
apne ghar men lahuluhan huun main
gham-o-alam bhi hain mujh ko aziiz
qadr-danon ka qadr-dan huun main
zabt tahzib hai mohabbat ki
vo samajhte hain be-zaban huun main
lab pe ikhlas haath men khanjar
kaise yaron ke darmiyan huun main
chhed hi chhed hain faqat jis men
aisi kashti ka badban huun main
jo kisi ko bhi aaj yaad nahin
bhuli-bisri vo dastan huun main
ya giran-gosh hai nagar ka nagar
ya kisi dasht men azaan huun main
shairi ho ki ashiqi ‘abid’
har rivayat ka pasban huun main
Leave a Reply