• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Be-Sahaaron Ka Intizam Karo

Be-Sahaaron Ka Intizam Karo

be-saharon ka intizam karo

yaani ik aur qatl-e-am karo

ḳhair-ḳhvahon ka mashvara ye hai

Thokaren khaao aur salam karo

dab ke rahna hamen nahin manzur

zalimo jaao apna kaam karo

ḳhvahishen jaane kis taraf le jaa.en

ḳhvahishon ko na be-lagam karo

mezbanon men ho jahan an-ban

aisi basti men mat qayam karo

aap chhaT ja.enge havas vaale

tum zara be-ruḳhi ko aam karo

DhunDte ho giron paḌon ko kyuun

uḌne valon ko zer-e-dam karo

dene vaala baḌa.i bhi dega

tum sama.i ka ehtimam karo

bad-dua de ke chal diya vo faqir

kah diya tha ki koi kaam karo

ye hunar bhi baḌa zaruri hai

kitna jhuk kar kise salam karo

sar-phiron men abhi hararat hai

in jiyalon ka ehtiram karo

saanp aapas men kah rahe hain ‘hafiz’

astinon ka intizam karo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mein Aashiq Hun Mujhe Maqtal Mein Apna Nam Karna Hai

Duniya Ka Wabaal Bhi Rahega

gulnar-aafreen

dil Ne Ek Aah Bhari Aankh Mein Aansu Aae

Ghubar Sham-E-Wasl Ka Bhi chhaT Gaya

Hai Shauq to Be-saKHta Aankhon Mein Samo Lo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet