be-sabab haath katari ko lagana kya tha
qatl-e-ushshaq pe beda ye uthana kya tha
sar pe apne tu na le khuun ab ik aalam ka
funduq-ha-e-nigarin ko dikhana kya tha
sar-bulandi ko yahan dil ne na chaha munim
varna ye khema-e-aflak purana kya tha
is liye chin-e-jabin mauj rahe hai har dam
ai hubab-e-lab-e-ju aankh churana kya tha
saqiya apni bala se jo ghata utthi hai
de ke ik jura-e-mai dil ko ghatana kya tha
sarzamin zulf ki jagir men thi is dil ki
varna ik daam ka phir is men thikana kya tha
kah ghazal dusri is bahr men ek aur ‘nasir’
yak qalam likhne se ab haath uthana kya tha
Leave a Reply