be-libasi ku-ba-ku aisi na thi
zindagi be-abru aisi na thi
is qadar nazuk na tha us ka mizaj
talḳh meri guftugu aisi na thi
dasht-e-jan men aisa sannaTa na tha
ye faza-e-rang-o-bu aisi na thi
lamha lamha bojh ban kar rah gaya
zindagi ki aarzu aisi na thi
rehn karte ja ke ham apna zamir
ḳhvahish-e-jam-o-subu aisi na thi
sho.ala-e-ruḳh se bujhi ankhon ki pyaas
aag men paani ki ḳhu aisi na thi
shahr jaane kyon hua apna harif
shahr men kuchh aabru aisi na thi
kah raha huun hal-e-dil aghyar se
dil ko teri justuju aisi na thi
Leave a Reply