be-irada kucha-e-qatil men jaana paḌ gaya
phir hamen apna muqaddar azmana paḌ gaya
kya karoge jab kabhi shahr-e-tamanna men tumhen
ham se be-abad logon ko basana paḌ gaya
apne bigḌe ḳhal-o-ḳhad ko aa.ine men dekh kar
aa.ina ik a.ina-gar ko dikhana paḌ gaya
dekh kar us ka ravayya ḳhud bujhaya tha jise
vo charagh-e-arzu phir se jalana paḌ gaya
hiddat-e-jazbat se jalne laga tha tan-badan
phir thapak kar in shararon ko sulana paḌ gaya
kya kahen ham mausamon ke devta ko kis liye
dasht-o-sahra men bagulon ko sajana paḌ gaya
dekhna ahl-e-chaman ‘shahid’ bula.enge hamen
jab chaman ko bad-e-sar-sar se bachana paḌ gaya
Leave a Reply