bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka
anasir ke muraqqe men bhara hai naqsh daulat ka
azal ke din se gham mushtaq tha jo meri khilqat ka
banaya ansuon se gundh kar putla kudurat ka
muqaddar ne diya hai haath men kaasa halakat ka
gada huun us pari-paikar ka jo tukda hai aafat ka
rahe sina-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat ka
kabhi loha na maana yaar ki tegh-e-adavat
dikhaya us ne ban-than kar vo jalva apni surat ka
ki paani phir gaya aine par dariya-e-hairat ka
khuda abad rakkhe lucknow ke khush-mizajon ko
har ik ghar khana-e-shadi hai har kucha hai ishrat ka
shab-e-vaslat to jaate jaate andha kar gai mujh ko
tum ab bahra karo sahab suna kar naam rukhsat ka
mare jis par na chaar aansu bahae us ne murde par
hua sabit ki paani bah gaya chashm-e-muravvat ka
jalae dost ya thanda kare dil jo raza us ki
na dozakh se mujhe nafrat na main mushtaq jannat ka
na hoga farq nuqte ka mila kar dekh le koi
mire amal-name se navishta meri qismat ka
jo shamil hai karam us ka to kya gham kisht-e-uqba ka
siyah-nami se apne kaam lunga abr-e-rahmat ka
khuda ne di hai lazzat gham-khuri ki khush-mazaqon ko
lahu ki ghunt piine men maza milta hai sharbat ka
har ik tasvir hai sani-e-yusuf apne aalam men
zara yaqub dekhe to muraqqaa us ki qudrat ka
yad-e-baiza ke daste aage aage le chale muusa
shab-e-mearaj ko raushan hua haal us ki azmat ka
ziyada chand suraj se tira nuur ashkara hai
na dekhen tera jalva ham qusur apni basarat ka
vo aalam hai na gham se gham na shadi se mujhe shadi
barabar mere mizan men hai palla ranj-o-rahat ka
tumhari fitna-e-qamat ne aisa roab bandha hai
qadam-bhar bhi qadam aa ke nahin badhta qayamat ka
shahidan-e-khuda mujh ko bhi thodi se jagah dena
na ho barbad meri khaak sadqa apni turbat ka
shab-e-vasl-e-sanam ka khatma bil-khair ho yarab
na ankhon par kahin phir jaae chuna subh-e-furqat ka
halavat zindagi ki hai mulaqat-e-ahibba men
maza murde ko tanhai ka hai zinde ko sohbat ka
maza ishq-e-haqiqi men na kuchh ishq-e-majazi men
khuda se gham dui ka hai sanam se ranj furqat ka
chhuri na-qadrdanon ki ravan hai ahl-e-jauhar par
kafan ko yaad karna ‘bahr’ dhyan aae jo khilqat ka
Leave a Reply