barak-allah main tire husn ki kya baat kahun
saj kahun dhaj kahun chhab takhti kahun gaat kahun
rukh o zulf us ke shab-e-tar men dekhe baham
huun achambhe men ise din kahun ya raat kahun
ki qayamat tire qamat ne to gulshan uupar
pankhudi ek taraf phuul kahun paat kahun
taq-e-abru ke nazare ke the khvahan so mila
aur kya hajat ab ai qibla-e-hajat kahun
dekhne ko abhi dil tadpa ki tum aa pahunche
kashish-e-dil ki tumhari ye karamat kahun
ain hijran men bahar-e-gul-o-baran aai
girya ashiq ka kahun ya use barsat kahun
‘azfari’ ne hain tire ishq men jhele pyare
kya kya afat baliyyat ki sadmat kahun
Leave a Reply