
Yasir Khan
bana hua tha kahin ab-dan kaghaz par
thi itni pyaas ki rakh di zaban kaghaz par
kiraye-dar ki ankhon men aa ga.e aansu
bana.e baiThe the bachche makan kaghaz par
tumhare ḳhat men nazar aa.i itni ḳhamoshi
ki mujh ko rakhne paḌe apne kaan kaghaz par
tamam umr guzari hai dhuup men shayad
bana raha hai koi sa.eban kaghaz par
uTha liya hai qalam ab to main ne bhi ‘yasir’
utaar Dalunga saari thakan kaghaz par

Leave a Reply