bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai
ghulam-e-saqi-e-kausar huun mujh ko gham kya hai
tumhari tarz-o-ravish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan men khama-e-ghalib ki atish-afshani
yaqin hai ham ko bhi lekin ab us men dam kya hai
kate to shab kahen kaate to saanp kahlave
koi batao ki vo zulf-e-kham-ba-kham kya hai
likha kare koi ahkam-e-tala-e-maulud
kise khabar hai ki vaan jumbish-e-qalam kya hai
na hashr-o-nashr ka qaael na kesh o millat ka
khuda ke vaste aise ki phir qasam kya hai
vo dad-o-did garan-maya shart hai hamdam
vagarna mehr-e-sulaiman-o-jam-e-jam kya hai
Leave a Reply