• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Badan Ka Kaam thoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai

Badan Ka Kaam thoDa Hai Magar Mohlat Ziyaada Hai

poet

badan ka kaam thoḌa hai magar mohlat ziyada hai

so jo ghaflat ziyada thi vahi ghaflat ziyada hai

hamen is alam-e-hijran men bhi ruk ruk ke chalna hai

unhen jaane diya jaa.e jinhen ujlat ziyada hai

na jaane kab kisi chilman ka ham nuqsan kar baiThen

hamen chehra-kusha.i ki zara ruḳhsat ziyada hai

kabhi main ḳhud ziyada huun tan-e-tanha ki vahdat men

kabhi meri zarurat se miri vahdat ziyada hai

tujhe halqa-ba-halqa khinchte phirte hain duniya men

so ai zanjir-e-pa yuun bhi tiri shohrat ziyada hai

ye dil bahar dhaḌakta hai ye aankh andar ko khulti hai

ham aise marhale men hain jahan zahmat ziyada hai

main qarnon ki tarah bikhra paḌa huun donon vaqton men

miri jalvat ziyada hai miri ḳhalvat ziyada hai

so ham fariyadiyon ki ek apni saf alag se ho

hamara mas.ala ye hai hamen hairat ziyada hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-shakir

Masala

Kabhi Qarib Kabhi Dur Ho Ke Rote Hain

Wo Dhal Raha Hai to Ye Bhi Rangat Badal Rahi Hai

Sufi

dosto Tumne Ajab Ye Ehtimam-e-Gham Kiya

Sufi

Wo Nazar Mehrban Agar Hoti

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet