• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bad-Gumani Ko baDha Kar Tumne Ye Kya Kar Diya

Bad-Gumani Ko baDha Kar Tumne Ye Kya Kar Diya

bad-gumani ko baḌha kar tum ne ye kya kar diya

ḳhud bhi tanha ho ga.e mujh ko bhi tanha kar diya

zinda rakhne ke liye rakkha hai achchha silsila

ik miTaya dusra arman paida kar diya

aap samjhane bhi aa.e qibla-o-ka.aba to kab

ishq ne jab be-niyaz-e-din-o-duniya kar diya

bandagan-e-daur-e-hazir ki ḳhuda.i dekhiye

jis jagah jis vaqt chaha hashr barpa kar diya

kal ki kal hai kal jab aa.ega to samjha ja.ega

aaj to saaqi ne dil ka bojh halka kar diya

mohtaram pi lijiye mausam ne mauqa.a de diya

dekhiye kaali ghaTa ne uTh ke parda kar diya

vo ghar aa.e the ‘nazir’ aise men kuchh kahna na tha

shukr ka mauqa.a tha pyare tu ne shikva kar diya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahryar

Hazar Bar Miti Aur Paemal Hui Hai

Roz-E-Awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai

Falak Ke Na in Mah-Paron Ko Dekho

Hayat Kya Hai Maal-E-Hayat Kya Hoga

poet

Azm Fani Bhi La-Zawal Bhi Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet