Bachche Ki Zid Ko Ab to Mera Etibar De

bachche kī zid ko ab to mirā e’tibār de

ai āsmāñ ye chāñd mire ghar utaar de

chorī karūñ to haath mire kaaT de magar

pahle ḳhudā-e-vaqt mujhe rozgār de

Thukrā na duuñ maiñ ġhair ke hāthoñ milī shikast

mujh ko bhī merī nasl hī mujrim qarār de

yārab junūn-e-ishq se mahrūm rakh mujhe

yā merī vahshatoñ ko na.e reg-zār de

Leave a Comment