baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakam nahin
apni taqsir hai ye gardish-e-ayyam nahin
ai masiha kabhi tu bhi to use dekhne aa
tere bimar ko sunte hain ki aram nahin
ek vo jin ke tasarruf men hain sab mai-ḳhane
ek ham jin ke liye durd-e-tah-e-jam nahin
mujh ko ye gham ki unhen dekhne vaale hain bahut
un ko shikva ki yahan zauq-e-nazar aam nahin
safar-e-ishq mubarak ho ki is men ‘kausar’
gham-e-aghaz nahin ḳhatra-e-anjam nahin
Leave a Reply