Baad Muddat Jo Main Ai Charkh-E-Kuhan Yaad Aaya

baad muddat jo main ai charkh-e-kuhan yaad aaya

kya sitam koi naya mushfiq-e-man yaad aaya

sher kahta tha ki mazmun-e-dahan yaad aaya

ik muamma ye dam-e-fikr-e-sukhan yaad aaya

ahl-e-duniya ko kisi din na hui fikr-e-adam

kya musafir hain ki jin ko na vatan yaad aaya

dekh kar abr-e-bahari miri nisbat badli

sehn-e-gulshan men dil-e-tauba-shikan yaad aaya

rishta-e-jan men girah pad gai uljhan ke sabab

dil ko jab gesu-e-pur-pech-o-shikan yaad aaya

pa ke sar-chashma-e-haivan jo phir aaya ulta

kya ‘sikandar’ ko tira chah-e-zaqan yaad aaya

mit gai dil ke na hone se vo daghon ki bahar

ai ‘nazar’ vaqt-e-khizan ham ko chaman yaad aaya

Leave a Comment