
Jafar Shirazi
ba-sat.h-e-ab koi aks-e-na-tavan na paḌa
hava guzar bhi ga.i aur kahin nishan na paḌa
baḌe sukun se dekha hai jalte lamhon ko
hamari aankh men varna dhuan kahan na paḌa
kaThin bhi aisa na tha meri teri sulh ka kaam
koi bhi shaḳhs mire tere darmiyan na paḌa
hue hain ḳhaak ḳhamoshi ke dasht men kho kar
hamare kaan men hi shor-karvan na paḌa
bala ki dhuup hai ‘ja.afar’ kisi ko hosh nahin
paḌa hai abr ka saaya kahan kahan na paḌa

Leave a Reply